Blogging Se Paisa Kaise Kamaye Top 5 Best Tips In Hindi Blogging online money earn karne ka sabse badiya platform ban gaya hai. Blogger part-time or full-time blogging karke internet se paisa kama rahe hai. Bahut logo ke man me sawal rahata hai ki internet se paisa kaise kamaye.
to blogging se paisa kamana internet se paisa kamane ke liye best tarika hai Main yaha blogging se money kamane ke 5 tips btaunga jo aapko blog se jyada money kamane me help karenge.
Blogging ko aap ek business ki tarah run kar sakte hai aur isse achi khasi income bhi kar sakte ho. Bas aapko ise sahi tarike se karna hoga. Jo blogger paise kamane ke liye blogging karta hai uske blog me aur jo blogger passion ke liye blogging karta hai kafi fark hota hai. Paise kamane ki chahe rakhne wale blogger ko kuch alag karna hota hai.
Blogging Se Paisa Kaise Kamaye Top 5 Best Tips In Hindi
Aap same site par same traffic se 20% se 30% adhik earning kar sakte ho bas aapko kuch alag tarike se blogging karni hogi aur kuch tips, tricks, tarike apnane honge.
1. Blog Ko Completely Setup Kare
Blogging ke through paisa kamana chahate ho to uske liye aapke pas ek blog ka hona jaruri hai. Sabse pahle aap ek achhi web hosting le kar khud ka blog banaye aur use completely setting up kare. Blog ke liye ek achha domain, web hosting, theme choose kare aur blog ka achha design, SEO, speed, optimization setup kare.
Blog ke liye ek main topic choose kare jis par aapko content write karna hai aur single topic par hi.
blogging kare kyuki ek multi-topic ki tulna me single topic site jyada progressing karti hai aur usse benefits bhi jyada milta hai.
2. Best Content Share Kare
Koi bhi blogger jo paise kamane ke liye blogging karta hai use apne blog par aesa content share karna chahiye jo search engines aur social media dono par logo ko attract kar jyada traffic hasil kar sake. Quality content ke sath aapko aese keywords par likhna hoga jis par sabse jyada searching ki jati ho. For example, aap trending keywords par likh sakte ho, event blogging kar sakte ho.
Keyword researching ke liye aap Semrush jaise SEO tool ka istemal kar sakte ho. Iske alawa aap apne mind se social media, news, google trend, google search etc. ka review karke bhi top keyword search kar sakte ho.
3. Email List Develop Kare
Koi bhi blogger ho wo sirf ye nahi chahata hai ki reader sirf uske blog par aaye aur content read karke chale jaye balki wo chahata hai user uske blog par aaye aur content read karne ke uske blog ke email newsletter ko subscribe bhi kare.
Taki wo subscribers ko new post and other notification mail notification send kar sake. Ab agar aap paise kamane ke liye blogging karne wale hai to aapke liye ye bahut hi jaruri hai.
aap apne readers ko email ke jariye product, post, offer discount etc. ke bare me notify kar sakte ho.
4. Trustworthy Relation Banaye
Log kisi aese vyakti ke madhyam se product buy nahi kar sakte jis par wo trust nahi karte ho. Isiliye agar aap paise kamane ke liye blogging karte ho to aapko audience ke sath bharosemand rishta banana hoga.
Aap aur aapki site ko pasand karne wale aap aur aapki site par jitna turst karenge aapko utna hi.
support milega aur aap jaise hi kisi product ko promote karoge to jyada se jyada log us product ko buy karenge. Trust level increase karne ke liye aapko chahiye ki aap unhe free content provide kare aur behtar jankari de sath hi aapko chahiye ki aap sirf trusted product ko hi promote kare.
5. Audience Ki Jarurato Ko Pahchane
Apne audience ka wishwas jitne aur kuch paisa kamane ke bad kuch blogger sochte hai ki wo apne audience aur unki soch ke bare me sabkuch jante aur samajhte hai aur unhe pata hai ki real me unke audience ko kya chahiye.
Jabki ye bilkul galat hai. Jaruri nahi hai aapke audience aaj jo kuch pasand karte hai.
agle 6 month ya 1 year ke bad bhi wesa hi hoga. Isiliye apne audience ki soch, pasand, jarurate, problems ko samajhe aur madad kare.
Agar aap aesa karne me kamyab ho jate ho to aapko humesha audience ka support milta rahega.
Conclusion,
Aap agar chahate hai ki ek din me aap blog bana kar paisa kama loge to wo nahi hoga. Aap agar paisa kamane ke liye blogging kar rahe.
aapko paise kamane wali blogging ke raste par chalna hoga.
agar aapke man me koi sawal hai to niche comment box me share kare